Kyu yaad aata hai vo aaj bhi
Kyu uski yaad aaj bhi rula jaati hai
Kyu uski bas ek jhalak dekhne ko aankhen tardapti hai
Kyu uski aawaz sunne ko aaj bhi kaan tarastey hai
Kyu baar-baar dil bas ek he sawaal karta hai...
"Kyu chord gya vo yun beech rah mein...?"
Kaise khayal hai na yeh...
Kaisa hota hai na pyaar bhi...
Kaise hotey hai na yeh rishtey...
Koi roota hai kisi k liye, to koi hass rha hota hai
Koi qaid rhta ha kisi ki yaadon mein, to koi aazad ghumta phirta hai
Koi khoya rehta hai kisi k pyaar mein, to kisi ko yaad he nhi ki koi tha bhi...
Han hua tha pyaar usse,
na jaana usne apni aankhon se kab yeh dil churaya tha,
dil kya neend,bhukh,pyaas sab churaya tha.
Roz bas usko dekhne ki chah hoti thi,
aur dekhtey he koi photo uski save bhi kar leti thi,
khud se zada to vo meri gallery mein rehta tha.
Par uska kya jaata tha,
vo to mashroof apni duniya mein yun he behta jata tha.
Na jaane kyu uski sudh mein khud ko kho baithi.
Na jaane kyu yaad aata ha vo aaj bhi,
na jaane kyu yaad aata ha vo aaj bhi...
Na jaane kyu itne qareeb vo aaya tha
Na jaane kyu itna pyaar usne dikhaya tha
Na jaane kyu ek pal mein tord kr vo sb kuch chla gya tha
Na jaane kyu vo aaj bhi yaad aaya tha
Na jaane kyu uski surat yaad kar, aaj bhi aankhon se vo ashq beh aaya tha
Na jaane kyu...
BY:- PALAK CHAWLA
ALL COPYRIGHTS RESERVED BY PALAK CHAWLA
What an awesome Creationπ keep up the good work π―π₯
ReplyDeleteπ₯π―
ReplyDeleteKeep it up ♥️πΈ
ReplyDeleteTure words πand amazing lines dear❤
ReplyDeleteTure words ��and amazing lines dear❤
ReplyDeleteWow amazing work Palak! ♥️♥️
ReplyDeleteWaaahhhh...Meri jaan...Aap shayar kb bne ......Ini pyari shayri....waaaooowwwww......ππ❤️❤️
ReplyDeleteSimply beautiful��. Awesome choices of words. Keep it up��
ReplyDeleteThose words are like orgasm to my ears! ��❤️
ReplyDeleteAmazing talent xD